ji haa dost sahi padha apne pdf dikhne wali har file pdf nhi hoti agar aap ek computer and internet user hain to ye pura padhiye aur sawdhan rhiye
aj ke wakt me kai aisa nhi h jo internet na chalata ho khas taur se agr aap ek youtuber hain ya internet se koi file download krte hain to aapko ye janna bahut jaruri hai ki har cheej jo dikhti hai wo hoti nhi hai
abhi kuch der pahle mujhe gmail pr ek file bheja gya tha jise download krne ke bad maine open kiya to mujhe pta chala wo ek virus tha
jo dikhne me pdf ki tarah tha
maine socha pdf file h open krke dekhu kya h pr wo to hacking ka ek applincation tha
jo mere google chrome ke sara data ko chura sakta tha
full jankari ke liye aap niche diye gye is video ko dekh sakte hain
aur haa mai apse bar bar yhi kahunga ki koi bhi cheej internet se download krne se pahle uske bare me puri jankri jarur lijiyega taki koi problem na ho
kyunki ek se badh kr ek hacker pde hain inka kaam sirf logo ke sath froud krna aur unse paise ainthna hota hai
puri detail maine is video me btayiy hai ummid hai ki ise dekh kr aap bhi sawdhan rhenge
aur haa khuda ka shukr hai ki mere sath kuch nhi hua sab sahi sahi bach gya kyunki maine turnt notice kr liya tha
aur uske piche ek wajah shayd ye bhi h ki mere pc me 3 google chrome tha jiski wajah se ye application smjh nhi paya ki kisme inter krna hai nhi to ye mera pura data chura leta youtube website sab kuch
aur maine turant chrome ko uninstall kr diya fir dobara install krke password wagairh sab change kr diya
to abhi filhal sab thik hai
मैं एक ग्राफिक डिजाइनर और डिजिटल मार्केटिंग एक्सपर्ट हूं, जिसके पास 8 साल का डिजाइनिंग और 4 साल का डिजिटल मार्केटिंग का तजुर्बा है। अपने इस ब्लॉग पर मैं डिजाइन और ऑनलाइन कमाई के आसान और असरदार तरीके बताता हूं। साथ ही, यूट्यूब पर प्रिंटिंग और डिजाइनिंग सिखाकर लोगों की मदद करता हूं। मेरी कोशिश है कि हर कोई अपनी क्रिएटिविटी को पहचानकर उसे कमाई का जरिया बना सके।