shayri ke bina shadi card adhura sa lagta hai, isliye aaj ki is post me ham apke sath 50 muslim wedding card shayri pesh karne wale hain jise aap apne wedding card pr likhwa sakte hain ya fir apne doston ya rishtedaro ko shadi ke mauke par whatsapp ya msg bhej sakte hain.
Download Sadi card design cdr file
Muslim wedding card shayri
jaisa ki is post ka naaam hamne wedding card shayri rakha hai to apko pata chal hi gya hoga ki ye sare shayri card me print karane wale hain chunki ham 7 saal se printing ka kaam kar rhe hain isliye hme iska pura idea hai to chaliye ab direct apko sharyi dete hain
aap ise padhiye aur jo pasand aye usko istemal kariye.
Bahana kuch nahi bas apko shadi me aana hai,
Gulistane mohabbat pyar ki wadi me aana hai
khusi farsh par hogi charcha arsh par hoga
ek sunnat ada hogi, ek farz ada hoga
sitaron me chamak hogi, chand bhi chamakta hoga
wallah kitni khusi hogi, jis wakt nikah hoga
Bas itni aarjoo hai ki dawat kabool ho,
dil me kholus hath me ulfat ka phool ho.
Download Hd Modi png image
Download subh vivah png clipart
Allah ka karam hai, inayat rasool ki
shadi hamare ghar me hai , barkat rasool ki
ummid hai ki aap tashrif layenge
dawat kabool karna hai sunnat rasool ki
Najar ho jispe teri uska puchhna hi kya,
Teri najar hai khuda ki najar ya garib nawaj
Phoolon ki hansi sitaron ki adaye
sab aap par kurbaan hai tashrif to laye
Download Sadi card design cdr file
Khuda gawah dobaala har ek khusi hogi
shaguftagi pye andaaje bandagi hogi
hai ilteja mere nure najar ki shadi me
karam janab ki tashrif awari hogi
jahmat utha ke aap jo tashrif layenge
kaliyon ki kya basat hai ham dil bichhayenge
Range nishat bajme do alam pe chha gaya
jsi din ka intejar tha wo din bhi aa gya
jahmat jo ki hojur aap ne aane ki bajm me
dil se hojur aap ke aane ka shukria
kis kadar aapki aamad ka yakin hai dil ko
honth bechain hai ijhare tasawwar ke liye
shaad rahe aabad rahe is bajm ke dulha dulhan
hashr tak jinda rhe do dilon ka milan
saare ahbaab de rhe hain dil se dua bar-baar
ta umar salamat rhe dulha-dulhan ka pyar
badh gyi raunake mahfil tumhare aane se
dil ne khush aamad kaha lab ne aafreen kaha
Noore najar ki shadi me tashrif layiye
aankhe bichha ke baithe hain ham intjar me
ae baade saba kuch tune suna mehmaan jo aane wale hain,
kaliya na bichhana rahon me ham dil ko bichhane wale hain.
Download Sadi card design cdr file
mai khus hoke kismat pe apani naaj karu
jo mujh garib ki daawat kobul ho jaye
is gulshane hayat ko yaa rab sanwar de
jisko khija mita na sake wo bahar de
jara taklif to hogi yakinan aane jaane me
magar khusiya meri badh jayegi tashrif laane me
Muntajir chasm bhi kalb bhi hai jaan bhi
aap ke aane ki hasrat bhi hai arman bhi
kijiye dawate naacheej basad shauk kabool
rasme duniya bhi hai sunnat bhi hai ehsan bhi
phoole pahle baag ye dua kar rha hu main
mabood apna farj ada kar rha hu main
paala tha jise sau jatan se maine aaj tak
us lakhte jigar ko aaj juda kar rha hu main
Khuda ne apni kudrat ka ajab naksha banaya hai
kahi paida kiya dulhan kahi dulha banaya hai
ye dono arshe aajam se mokarrar hoke aaye hain
khuda ne apni kudrat se dono ko milaya hai
aap ayenge khusiyon me jamal ayega
warna umar bhar na aane ka khyal aayega
wakt ki dhoom to gairo se bhi ho jayegi
aap na ayenge to dil ko malal aayega
Raunke bajm badhegi jo inayat hogi
aap tashrif na laye to shikayt hogi
apke shaan ke kaabil mera ghar ho ki na ho
jajbye dil se hu betab bulane ke liye
Ek phool maa-baap ke gulshan me khila tha
ek aur gulistan ne use maang liya
Khuda ka fazl hai jo ghar hamare shadmani hai
Rasoole pak ka sadka hai ye unki meharbani hai
aap bhi fursat ke guljar chun le
baad muddat ke mere ghar me bahaar aayi
kholuse najar karenge jo ikhtyar me hai
chale bhi aao ki har shaksh intjar me hai
jra jahmat kre tashrif laye dil ki wadi me
meri ijjat badhegi shirkat kre beti ke shadi me
wakte adaye sunnat kya ho bya khusi ka
daste hinaye dukhtar ya rab sajaye rakhna
altafe khuda wande do alam ki badaulat
khush hu ki ajijo ke bulane ke liye aaye
nigahe shauk muntjir thi jiski muddat se
dikhaya wo shma allah ne aaj apni kudrat se
jashne shaadi ki jaan to tum ho
tum na aao to kaise baat bane
naa jane kis gali se aayegne aap
dil ki ye jid hai ki har gali saja du aaj
hamne pahuch diya paighame mohabbat unko
ab wo ayenge agar unko mohabbat hogi
juda karta na hargij is dil ke tukde ko
agar shadi rasule paak ki sunnat nhi hoti
hamko to khusi hogi aapke aane se
ham aapse mil lenge shadi ke bahane se
nyi hayat ka paigham jashne shadi hai
khudaye paak ka inaam jashne shaadi hai
kitabe zindgi ka nya unwan hai shaadi
ye sunnat hai nbi ki, rahmate rahman hai shaadi
sehre me khusbu shayd madine se aayi hai
raunak dulhan ke chehre pe jannat se aayi hai
shariyat ka takaja hai farj bhi majbur karta hai
ye kaisa jashn hai lakhte jigar ko dur karta hai
Masoom beti ghar se juda kar rha hu mai
har wakt khus rhe ye dua kr rha hu mai
Beti ki rukhsati ka sham bhi ajib hai
aankhe hain ashk baar khusi hi naseeb hai
ada karne rasulallah ki sunnat chale aao
na thukrao meri hasrat bhari dawat chale aao
ek sunnate rasool ada kar rha hu mai
dil se nhi najar se juda kar rha hu mai
phool sehre ke to kismat se khila karte hain
milne wale to mukaddar se mila karte hain
dulha dulhan ki zindagi yunhi tamam ho
makke me subah ho to madine me shaam ho
is dawate nishat ki tabish hai aap se
shirkat ki purkholus gujarish ahi aap se
wallah jo mil jaye mere gul ka pasina
mange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool
…………………………………………………………………………………
urdu text png images coming soon!
urdu ka koi bhi card banwane ke liye aap hamse contact kar sakte hain: 7052057157
……………………………………………………………………………….
Mujhe ummid hai ki in 50 muslim wedding card shayri me se koi na koi to apko jarur pasand aya hoga kyunki yhi sare shayri aksar card par chhape jate hain.
to agar apko achcha laga hai to apne doston ke sath jarur share kare aur agr apke paas bhi koi shayri ho to comment kar ke bataye.
agar aap designer ya printers hain to please checkout our new website
hindu wedding card shayri Hindu wedding card shayri
Pingback: Raj Hindi Font Total – Trbahadurpur
Pingback: shok sandesh matter quite plus image all in one page – Trbahadurpur