Saheli parlour banner design
aaj maine ek beauty parlour banner design ko redesign kiya to socha uska video bhi bana du taki aap log usko dekh kr kuch idea bhi le sake, lekin ye video tutorial nhi hai yani maine isme voice nhi dala hai sirf record karke video ko fast karke music dal diya hu.
fir bhi agar aap coreldraw chalana jante hain to apko ise dekh kar bahut kuch idea lag sakta hai, aur agar abhi aap corelraw chalana ya sahi se chalana nhi jante ho hmara coreldraw ka course dekh sakte hain jo ki bilkul free hai
ako youtube par jakar search karna hai
coreldraw course trbahadurpur
ab chaliye dekhte hai us parlour design ko jo hamne aaj banaya hai pahle dekhe to sahi ki dikhta kaisa hai agr achcha lagega to fir video bhi dekh lijiyega ki kaise banaya hu
yahi design hai apne ise dekh hi liya iska size 6×3 feet ka hai
lekin maine ise 6×3 inch me banaya hai
kyunki banner design ka trika yhi hai, beginners log 6×3 feet me banane lagte hain jis se file kafi heavy ho jati hai aur bannae wa edit karne me kafi dikkat hoti hai, aur agar coputer achcha na hot crash karne ka bhi dar rahta hai.
isko inch me banakar jb print ke liye export karte hain to feet me kar liya jata hai
iske bare me bhi maine 2 3 vide pura detail me banaya hai trbahadurpur youtube channel par aa wha se dekh sakte hain.
ab chaliye is deisgn ka video dekh lijye jyada nhi sirf 3 minut ka hai
video
ab agar apko iska cdr file chahiye to sirf aur sirf 11 rupye me aap iska cdr file niche diye gaye link ya image pr click karke kharid sakte hain.