How can I get 1000 visitors per day on my website? in Hindi

aaj ki is post me ham baat krenge ki kaise aap apni blog website pr 1000 visitors per day la sakte hain.

hamare man me aksar ye sawal ata hai ki jab ham new blog ya website start karenge to traffic kaha se ayega ( mera matlab jaldi traffic kaha se aur kaise ayega )

aur ye bahut hi sahi sawal hai, mai iske bare me thoda bahut apna knowledge share karna chahta hu apke sath kyunki website ya blog se paisa kamane ke liye traffic ka ana bahut hi jaruri hai, aur starting me kam se kam 1000 daily visitors to chahiye hi taki kuch earning ho sake.

jab ham apni new website ya blog bna lete hain to ham apna aksar time isi pr waste kar dete hain ki jyada traffice kaha se laye apni website ko aur khubsurt ya achcha kaise banaye.

isme koi burayi nhi hai achcha hai ye par starting me hame jitna jyada ho sake apne posts article likhne pr dhayn dena chahiye jis se visitors yani padhne walon ko fayda ho.

ham apna sara time traffice, seo, blog design, backlink etc pr kharch kar dete hain.

jitna jyada hamara content yani post hoga utna jyada hmare pass traffice ayegi aur post bhi aisa hona chahiye jis se logo ko fayda ho. aisa nhi ki traffic ke chakkr me kuch bhi likhte jao.

to agar apne apna new website aur blog shuru kiya hai, to kaise ap apna daily 1000 traffic la sakte hain.

How can I get 1000 visitors per day on my website?

image

1. Helpful content likho

sabse pahli cheej jis se aap traffic la sakte hain wo hai apka content to apko ispr focus karna hai, kyunki agar apka content achcha hoga tabhi log apki website pr ayenge aur padhenge.

mai jab bhi koi post likhta hu to 2 cheejo ko dhyan me rkhta hu ek ye simple aur smjhne layek ho, dusra is se padhne walo ka kya fayda hoga (jaisa ki ye post padh kr ap bhi agr ispr apply karenge to yakinan apne traffice ko bdha payenge)

to daily 1000 visitor pane ke liye man lijiye ki agar apne 10 post likha hai aur daily apke blog par 100 visitor aa rhe hain to iske hisab se

  • 10 post par 100 visitors
  • 20 post par 200 visitors
  • 50 post par 500 visitors
  • 100 post par 1000 visitors

iske hisab se apko kam se kam 100 post likhne padenge, lekin ye koi jaruri nhi ki apka sab post rank hi kre ho sakta hai ki 100 post me se sirf 10 post hi rank kare baki ke 90 rank na kare, to apko us 10 ke jaisa hi aur post likhna hai aur new post ko unke sath link kar dena hai

maine yaha pr 100 post isliye kaha taki pata chal jaye ki apka kaun sa post log pasand kar rhe h fir usi se realted apko post likhna hai, aur new post ko kuch aise likhna hai taki unke sath link krne pr log wha se click krke aakr isko bhi padhe.

jaise man lijiye maine ye post likh diya ki daily 1000 visitor blog par kaise laye, aur ye rank kar gya is par traffic ane laga to mai ek aur post likhunga ki 1000 visitor pr aap google ads se kitna kama sakte hain aur usko is wale post se link kr dunga.

to jo koi ye post padhega agar che uska 1000 daily traffic abhi nhi aya lekin wo usko bhi turant padhega ki dekhe 1000 traffic par hame google se kitna paisa milega.

Clickable title and high traffic keywords

jab apka post bilkul achcha hoga jis se logo ko fayda ho to usko bahut sare dusre website wale bhi apni post me link kr denge sath hi sath log ise social media par bhi share karne lagenge, lekin aisa tab hoga jab apka post google me first result par ayega.

coming soon!

Leave a Comment Cancel Reply

Exit mobile version