Coreldraw Design.

jahan tak mai apni soch se bataun to aksar log coreldraw design likh kar google par search karte hain aur wo is liye search karte hain taki unhen kuchh aisi chij dikhe jo coreldraw me banayi gayi ho taki use dekh kar wo bhi waisa hi banane ki koshish karen.

is baat ka matlab saf hai ki corel draw design search karne wale log abhi beginner hain aur abhi wo corel draw sikh rhae hain

to aapko is post me ham bahut kuchh batane wale hain sath hi sath corel draw design bhi dikhane wale hain jo aap search kar rahe hain itni to grantee hai ki is post ke padhne ke bad aap ko kahin jana nhi padega kyonki isme mai design to dikhaunga hi design kaise banate hain ye bhi bataunga aur design bana kar usse paisa kaise kamate hain ye bhi bataunga bole to all in one page.

chlo sabse pahle design dekhte hain jo ki corel draw me banaya gya hai.

ice cream banner design
coreldraw design
pratham janmotsav card
electrick visiting card design
gadi poster design in coreldraw
urdu poste desgin in coreldraw
coreldraw banner design
subh vivah design box cdr file
garments udhantan card in color

What is coreldraw in hindi .

ab chlo jante hain ki corel draw kya hai .

coreldraw ak graphic design softwere hai jisme aap kisi bhi kism ka design bana sakte hain jaise. chahe wo vector ho ya template ho ya kuch bhi ho

  • business card
  • flex board
  • wedding card
  • birthday card
  • bill book
  • logo
  • vector
  • advertising poster
  • social media poster

corel draw free course by trbahadurpur

Coreldraw me design kaise banayen .

dekho doston design banane ke liye dimag ki jarurat padti hai na ki softwere ki (jaisa ki is video me maine bataya hai ), haan softwere se hamara kam thoda asan jarur ho jata hai

matlab ye ki hamko apni thought yani soch ko ek design ka roop dena hai aur uske liye hame coreldraw ki achhi pakad honi chahiye jo kihmare youtube video dekh kr tum kar sakte ho.

jiske liye aap daily 2 ya 3 design ki practic karo yani youtube per totorial dekho aur same design banao daily 2 ya 4 jab is tarike se tum 100 se jyada design bana loge to corel draw par tumhari achhi pakad ho jayegi aur tools ki bhi achhhi jankari ho jayegi aur kaam fast karne lagoge .

ab sirf koi design dekh kar use banane ki koshish karo aur is tarike se bhi 50 se 100 design ready karo.

itna karne ke bad ab tum corel draw me mahir aur master (100% nhi kyunki ye koi nhi ho skta) ho chuke hoge.

aur agar tum chaho to jo design tumne banayi hai use sell bhi kar sakte ho aur achhe khase paise bhi kma sakte ho.

also read this: Download free all cdr file

Coreldraw ki design se paisa kaise kamaye

ab aap soch rhe honge ki design banana to ham sikh chuke ab isse paise kaise kmaye ise kahan bechen to ham aap ko bata de ki

aap apni design hmari website trbahadurpur.com par sell kar sakte hain aur bhi bahut sari site hai jispe aap apni design sell kar sakte hain hamne apne youtube channel pr iska bahut sara video banaya hai jaise

  • Freepik
  • vecteezy
  • pngtree
  • adobe stock
  • shuterstock
  • Envato
  • creative febrica
  • canva
  • and much more

kisi bhi website par deisgn bechne ke liye sabse pahle wha apko apna vendor yani ki contributer account banana padega

aur haa sirf account bana kar aap tutrant apni design upload nhi kr skte hain account jb approve hoga tabhi design dal sakte ho jiske liye apke pas achcha khasa portfolio hona chahiye jis se ye website wale dekh jan ske kai haa aap sach me graphic deisgner ho.

fir jab apka account approve ho jayega to har ek website ka apna apna guideline aur rule hota hai to uske hisab se apko inke website par apne design ko upload krna hai, aur ye design bhi review hogi jab isme koi kmi nhi hoga to publish ho jayegi warna reject ho jayegi.

aur publish hone ke baaad bhi apko turant paisa nhi milega ab jitne log ise buy ya download krenge uske hisab se apko paisa milega to iske liye apko jitna jyada ho ske design dalna hoga.

kyunki already lakho log in sari website par apni design dalte hain, aur pahle se bhi caroro design in sabhi website par upload hua hai, to aap jab ek ya 2 design daloge to wo kisi ko dikhega hi nhi to isliye dost mehnat to karna padega, kyunki mehnat na krne se to khali pade lohe me bhi jang lag jati hai.

mera matlab jitna jyada ho sake design dalte raho starting me mehnat lagegi lekin ek din aisa aayega ki aap kuch nhi kroge fir bhi earning hogi kyunki ye sare passive income ke trike hain aap ek baar mehant karke sari website par apni deisng dal do wo kisi na kisi website pr to download hogi hi aur zindagi bhar hogi yani apne ek bar dal diya ab us se puri zindagi jab jab wo download hogi apki earning hogi

ise achhe se samjhne ke liye chaho to is video ko dekh sakte ho.

online earning aur graphic deisgn se related 750 se jyad abhi tak maine apne channel pr vide0 dala hai dekho aur sikho kyunki jitni jyada learning hogi utni hi jyada earning hogi.

aap chaho to skillshare par course bhi kar sakte ho

to dosto hame ummid hai ki aaj ki ye post aapko bahut jyada pasand ayi hogi

agar aap kisi bhi kism ki design jaise logo metter banner poster templet etc hamse banwana chahte hain to hame contect kar sakte hain 7052057157

Leave a Comment

Scroll to Top