Digital marketing kaise karen

Kyaa aap digital marketing karna chahte hain aur nahi jante ki digital marketing kaise karen agar aap google per search kar rahe hain ki digital marketing kaise karen

aur bahut se student digital marketer banne ka course bhi karte hain but sabse pahle aapko ye janna jaruri hai ki digital marketing hoti kyaa hai

Ho sakta hai ki aap jante ho ki digital marketing kyaa hai aur ye bhi ho sakta ki aap nahi jante ho ki digital marketing kyaa hai to pahle ye jaan lete hain

digital marketing kaise kare

Digital marketing kyaa hai

marketing 2 tarah ki hoti hai online aur offline

online marketing

digital marketing internet computer aur electronic device ke jariye ki jane wali marketing hai jiske jariye koi bhi company apne product ko jyada customer tak pahuncha sakati hai jise online markting bhi kahahte hain

jab koi company apne kisi product ko launch karati hai to use dher sare logon tak pahunchane ke liye marketing karati hai aur internet aisi jagah hai jahan log apna time spent karati hai

isliye company internet per jaise you tube Facebook Instagram,google etc per ad chlwati hai jise jyada se jyada log dekhte hain aur us product ko jisko jarurat hoti hai khridte hain

offline marketing

jo marketing banner poster temple business card etc se ki jati hai use offline marketing kahate hai

aksar aapne market me dukano ke uper flex board yani banner laga hua dekhte honge wo offline marketing kahlati hai

ab aap ne ye to jan liya ki digital marketing hai kyaa ab ye jante hai ki digital marketing kaise karen

Digital marketing kaise karen

Digital marketing karne ke liye sabse pahle aapko ye dekhna hoga ki aapko kis chij ka marketing karna hai

phir uske hisab se aapko plateform choose karna padega kyonki galat product ka galat platform pe marketing karne se koi fayda nahi hoga

phir uske baad us product ya service ka creative image ya video bana lijiye aur sath hi sath kuchh impressive short line bhi likhna padega

kyonki main kaam aapka yahi hai log isi se aapke ad per rukenge aur dekhenge

ye to tha chhota sa introduction ki digital marketing kaise kare jisme hamne aapko bataya sahi palatform select karne ke bare me ab ye sahi plateform kyaa hai kaise choose karenge chaliye uske bare me jante hain

How to choose best platform digital marketing

best platform choose karne se pahle hame ye janna padega ki ye platform hote kyaa hain aur kaun kaun se platform hain jahan ham digital marketing kar sakte hain aur is platform pe kaisi audience rahti hai tabhi ham jaan payenge ki hmare product ke liye kaun sa platform best hai

Some top plate form for digital marketing

  • google
  • youtube
  • Instagram
  • facebook
  • twiter
  • linkdin
  • pintrest
  • tiktok
  • whatsapp

jaise google ye ek aisa plateform hai jahan har koi kisi chij ke bare me janne ke liye aata hai to ab agar aapka product ya fir aapki service new hai to yahan aapko koi search nahi karega iske liye pahle aapko brand awareness jo ki facebook per hoga

isi tarike se agar aapka koi education business hai fir luxury item hai to uska marketing ham Instagram pe nahi kar sakte kyonki log yahan time pass aur entertainment karne aate hain jo ki 80 se 90 % poor family se hote hain

to wo luxury item kar hi nahi sakte aur log entertainment ke liye aate hai to yahan per koi education wali chij dekhega hi nahi uske liye hai you tube

ab aap samjh gye honge ki plateform aapko kaise choose karna hai aur iska sabse secret chij hai audience ke bare me janna

i hope aapko aaj ki ye post Digital marketing kaise karen pasand ayi hogi apne friend ke sath jarur share kare

hd png image download karne ke liye takephttps://takepng.com/ng ko visit kare

agar aapko koi question karna ho to aap comment jarur Karen

Laptop keyboard protector skin:https://amzn.to/3tUcblZ

Ultra-clear screen protector for HP laptop:https://amzn.to/36i4wFN

Leave a Comment Cancel Reply

Exit mobile version