aaj ki is post me ham baat karenge ki cdr file kaise khole , sath hi sath cdr file kya hoti hai iske bare me bhi janenge to pura padhiye aur jankari hasil kariye
sabse pahle jan lete hain ki cdr file kya hoti hai fir uske baad baat karte hain ki isko kaise kholenge
CDR file kya hoti hai
cdr file ek aisi file hoti hai jise open karne ke liye apke pas coreldraw software hona chahiye.
jaisa ki aap jante hain kisi bhi file ko open krne ke liye ek software hota hai, jee ha jpg png image jo aap apne mobile ya pc me open karte hain wo bhi kisi na kisi software me hi open hota hai lekin ye bahut hi jyada papular file hote hain isliye sabhi mobile aur computer me already isntall rahte hain
lekin cdr, psd, ai, eps , plp, pmd. ye sab aisi file hain jinhe open karne ke liye alag alag software hona chahiye jinko hamko khud install karna padta hai
to apne jaan liya ki cdr file kya hoti hai ( coreldraw me banayi gyi kisi bhi file ko cdr file bolte hain )
ab chaliye baat karte hain ki cdr file kaise khole
cdr file kaise khole
cdr file ko open karne ke liye apke pas corel draw software hona chahiye wo bhi latest version ka kyunki apke pas jo cdr file hogi apko nhi pta ki wo kis version ka hai isliye jab aap latest version me open karenge to koi bhi version ka file ho wo open ho jayega.
aur agar apko cdr file ka version pta hai to fir aap wahi version coreldraw isntall kar lijiye aur usme apni cdr file open kar lijiye
- sabse pahle apko coreldraw software open karna hai
- file menu me open par click karna hai aur apni cdr file ko select karna hai
- fir apka cdr file open ho jayega
ab ho sakta hai ki aap soch rhe honge ki mai software kaha se download karu kaise install karu to waise to har ek cheej ka video apko youtube par mil jayega lekin aap online open karna soch rhe honge.
to haa aap google par cdr viewer search krenge to kuch website apko mil jayengi jaha aap apni cdr file open kar sakte hain but ye sahi se kaam nhi karti hai.
baki agar aap intrested hain coreldraw aur cdr file me to aap mera ye course dekh sakte hain jo ki bilkul free hai