50 Muslim wedding card shayri

shayri ke bina shadi card adhura sa lagta hai, isliye aaj ki is post me ham apke sath 50 muslim wedding card shayri pesh karne wale hain jise aap apne मुस्लिम शादी कार्ड हिंदी me istemal kar sakte hain ya fir apne doston ya rishtedaro ko shadi ke mauke par whatsapp ya msg bhej sakte hain.

Download Sadi card design cdr file

यहाँ जितने भी शायरी डाले गए हैं वो सभी के सभी मुस्लिम शादी कार्ड के लिए हैं तो अगर आप coreldraw चलाते हैं तो यहाँ से मुस्लिम शादी कार्ड हिंदी के कुछ सीडीआर फाइल्स को डाउनलोड कर सकते हैं |

Muslim wedding card shayri

jaisa ki is post ka naaam hamne wedding shayari rakha hai to apko pata chal hi gya hoga ki ye sare shayri card me print karane wale hain chunki ham 7 saal se printing ka kaam kar rhe hain isliye hme iska pura idea hai to chaliye ab direct apko sharyi dete hain

aap ise padhiye aur jo pasand aye usko istemal kariye.

Bahana kuch nahi bas apko shadi me aana hai,

Gulistane mohabbat pyar ki wadi me aana hai

muslim wedding card sharyi 1

khusi farsh par hogi charcha arsh par hoga

ek sunnat ada hogi, ek farz ada hoga

sitaron me chamak hogi, chand bhi chamakta hoga

wallah kitni khusi hogi, jis wakt nikah hoga

bas itni arjoo hai ki dawat kabool ho

Bas itni aarjoo hai ki dawat kabool ho,

dil me kholus hath me ulfat ka phool ho.

Isme se koi bhi shayri jo apko pasand ho card par likh sakte hain.

muslim card shayri in hindi

Allah ka karam hai, inayat rasool ki

shadi hamare ghar me hai , barkat rasool ki

ummid hai ki aap tashrif layenge

dawat kabool karna hai sunnat rasool ki

najar ho jispe teri uska puchhna kya

Najar ho jispe teri uska puchhna hi kya,

Teri najar hai khuda ki najar ya garib nawaj

phoolon  ki hansi

Phoolon ki hansi sitaron ki adaye

sab aap par kurbaan hai tashrif to laye

Download Sadi card design cdr file

khuda gawah

Khuda gawah dobaala har ek khusi hogi

shaguftagi pye andaaje bandagi hogi

hai ilteja mere nure najar ki shadi me

karam janab ki tashrif awari hogi

jahmat utha ke aap jo

jahmat utha ke aap jo tashrif layenge

kaliyon ki kya basat hai ham dil bichhayenge

range nishat

Range nishat bajme do alam pe chha gaya

jsi din ka intejar tha wo din bhi aa gya

jahmat hojur ki aap ne

jahmat jo ki hojur aap ne aane ki bajm me

dil se hojur aap ke aane ka shukria

kis kadar aapki aamad ka yakin hai

kis kadar aapki aamad ka yakin hai dil ko

honth bechain hai ijhare tasawwar ke liye

shad rahe aabad rhe

shaad rahe aabad rahe is bajm ke dulha dulhan

hashr tak jinda rhe do dilon ka milan

sare ahbab de rhe hain dil se dua

saare ahbaab de rhe hain dil se dua bar-baar

ta umar salamat rhe dulha-dulhan ka pyar

badh gyi raunak

badh gyi raunake mahfil tumhare aane se

dil ne khush aamad kaha lab ne aafreen kaha

nure najar ki shadi me

Noore najar ki shadi me tashrif layiye

aankhe bichha ke baithe hain ham intjar me

ai baade saba kuch tune suna

ae baade saba kuch tune suna mehmaan jo aane wale hain,

kaliya na bichhana rahon me ham dil ko bichhane wale hain.

Download Sadi card design cdr file

mai khus hoke kismat pe

mai khus hoke kismat pe apani naaj karu

jo mujh garib ki daawat kobul ho jaye

is gulshane hayat ko ya rab

is gulshane hayat ko yaa rab sanwar de

jisko khija mita na sake wo bahar de

jara taklif to hogi

jara taklif to hogi yakinan aane jaane me

magar khusiya meri badh jayegi tashrif laane me

muntjir chasm bhi

Muntajir chasm bhi kalb bhi hai jaan bhi

aap ke aane ki hasrat bhi hai arman bhi

kijiye dawate naacheej basad shauk kabool

rasme duniya bhi hai sunnat bhi hai ehsan bhi

phoole phale baag ye dua kar rha hu

phoole pahle baag ye dua kar rha hu main

mabood apna farj ada kar rha hu main

paala tha jise sau jatan se maine aaj tak

us lakhte jigar ko aaj juda kar rha hu main

khuda ne apni kudrat ka

Khuda ne apni kudrat ka ajab naksha banaya hai

kahi paida kiya dulhan kahi dulha banaya hai

ye dono arshe aajam se mokarrar hoke aaye hain

khuda ne apni kudrat se dono ko milaya hai

aap ayenge khusiyon me jamal ayega

aap ayenge khusiyon me jamal ayega

warna umar bhar na aane ka khyal aayega

wakt ki dhoom to gairo se bhi ho jayegi

aap na ayenge to dil ko malal aayega

raunke bajm badhegi

Raunke bajm badhegi jo inayat hogi

aap tashrif na laye to shikayt hogi

shayri

apke shaan ke kaabil mera ghar ho ki na ho

jajbye dil se hu betab bulane ke liye

ek phool maa baap ke gulshan me khila tha

Ek phool maa-baap ke gulshan me khila tha

ek aur gulistan ne use maang liya

khuda ka fajl hai

Khuda ka fazl hai jo ghar hamare shadmani hai

Rasoole pak ka sadka hai ye unki meharbani hai

aap bhi furasat ke guljar chun le

aap bhi fursat ke guljar chun le

baad muddat ke mere ghar me bahaar aayi

card shayri

kholuse najar karenge jo ikhtyar me hai

chale bhi aao ki har shaksh intjar me hai

jra jahmat kare

jra jahmat kre tashrif laye dil ki wadi me

meri ijjat badhegi shirkat kre beti ke shadi me

wakte adaye sunnat

wakte adaye sunnat kya ho bya khusi ka

daste hinaye dukhtar ya rab sajaye rakhna

bulane ke liye

altafe khuda wande do alam ki badaulat

khush hu ki ajijo ke bulane ke liye aaye

shayri for wedding card

nigahe shauk muntjir thi jiski muddat se

dikhaya wo shma allah ne aaj apni kudrat se

jashne shadi ki jaan tum ho

jashne shaadi ki jaan to tum ho

tum na aao to kaise baat bane

na jane kis gali se ayenge

naa jane kis gali se aayegne aap

dil ki ye jid hai ki har gali saja du aaj

hamne pahucha diya paighame muhabbat unko

hamne pahuch diya paighame mohabbat unko

ab wo ayenge agar unko mohabbat hogi

juda karta na hargij

juda karta na hargij is dil ke tukde ko

agar shadi rasule paak ki sunnat nhi hoti

hamko to khusi hogi aapke anne se

hamko to khusi hogi aapke aane se

ham aapse mil lenge shadi ke bahane se

nayi hayat ka paigham

Nayi hayat ka paigham jashne shadi hai

khudaye paak ka inaam jashne shaadi hai

kitabe zindgi

Kitabe zindgi ka nya unwan hai shaadi

ye sunnat hai nabi ki, rahmate rahman hai shaadi

sehre me khusbu shayad

sehre me khusbu shayd madine se aayi hai

raunak dulhan ke chehre pe jannat se aayi hai

shariyat ka takaja hai

shariyat ka takaja hai farj bhi majbur karta hai

ye kaisa jashn hai lakhte jigar ko dur karta hai

masum beti ghar se juda kr rha hu

Masoom beti ghar se juda kar rha hu mai

har wakt khus rhe ye dua kr rha hu mai

beti ki rukhsti

Beti ki rukhsati ka sham bhi ajib hai

aankhe hain ashk baar khusi hi naseeb hai

ada karne rasulallah ki sunnat chale aao

ada karne rasulallah ki sunnat chale aao

na thukrao meri hasrat bhari dawat chale aao

muslim shayri

ek sunnate rasool ada kar rha hu mai

dil se nhi najar se juda kar rha hu mai

phool sehre ke to kismat se

phool sehre ke to kismat se khila karte hain

milne wale to mukaddar se mila karte hain

dulha dulhan ki zindagi

dulha dulhan ki zindagi yunhi tamam ho

makke me subah ho to madine me shaam ho

gujarish hai apse

is dawate nishat ki tabish hai aap se

shirkat ki purkholus gujarish ahi aap se

wallah jo il jaye ere gu ka pasina

wallah jo mil jaye mere gul ka pasina

mange na kabhi itr na fir chahe dulhan phool

…………………………………………………………………………………

urdu text png images coming soon!

urdu ka koi bhi card banwane ke liye aap hamse contact kar sakte hain: 7052057157

……………………………………………………………………………….

Mujhe ummid hai ki in 50 muslim wedding card shayri me se koi na koi to apko jarur pasand aya hoga kyunki yhi sare shayri aksar card par chhape jate hain.

to agar apko achcha laga hai to apne doston ke sath jarur share kare aur agr apke paas bhi koi shayri ho to comment kar ke bataye.

agar aap designer ya printers hain to please checkout our official website

Hindu wedding card shayri Hindu wedding card shayri

Last update: 13.11.2024

2 thoughts on “50 Muslim wedding card shayri”

  1. Pingback: Raj Hindi Font Total – Trbahadurpur

  2. Pingback: shok sandesh matter quite plus image all in one page – Trbahadurpur

Leave a Comment

Scroll to Top