SEO kyaa hai aur kitne type ka hota hai

Kya aap janna chahte hain seo kyaa hai aur kitne type ka hota hai aur seo isliye sikhna chahte hain ki aapko usme apna career banana hai

ya fir apni website ya web page ko search engine ke first page per lane ke liye seo sikhna chahte hai

aur isliye janna chahte hain ki seo kyaa hai aur kitne type ka hota hai to aap bilkul sahi jagah aye hain kyonki dono surto me pahle aapko seo ke bare me janna hoga samjhna hoga tabhi aap kuchh kar payenge

to aaj ki is post me ham aapko batane wale hain ki seo kya hai aur kitne type ka hota hai seo ka full form kya hota hai to is post ko end tak padhiye apko bahut sari information milne wali hai

SEO ka full form kyaa hota hai

seo ka full form hota hai search engine optimization

seo 2 word se mil kar bana hai search engine aur optimization ab ye search engine kyaa hai pahle uske bare me jaan lete hain

Search engine

search engine ek software system hain jo ki information ko khojne ke liye bnaya gya hai aap ise simple languages me samjhiye ki lakho website hain to unko dhundh kar lane wale system ko ham search engine kahte hain

Optimization

optimization ka matlab hota hai kisi chij ka behtar tarike se use ya istemal karna

friend ham sab chahte hain ki hmari website ya web pages search engine ke top me dikhe wo koi bhi search engine ho google yahoo, Bing kyonki agar hmari website search engine ke top pe rank nahi karti hai to hmare article likhne ka koi fayda nahi hoga

Seo kya hai

seo kyaa hai

seo ek aisa tarika hai jisse aap apni website ya web page ko search engine yani google,yahoo, Bing etc ke first page per la sakte hain jab aapki website first page pe rank karegi to apki website pe organic traffic ayega

kyonki ham sabhi chahte hain hmare keyword se related koi kuch search kare to usko sabse pahle hmari website dikhe to uske liye seo bahut jaruri hai yun samjhiye seo bloging ki jaan hai

agar aap kitna bhi achha content likh rahen hain ager aapki website search engine ke top pe rank nahi karti to likhne ka kya fayda hoga kyonki jab rank nahi karegi to koi aapki website ke bare me janega hi nahi to visitor kaise ayenge

is liye aapko apni website ko optimize karne ke liye seo karna bahut jaruri hai taki koi bhi user agar koi keyword search kare to aapke website me us keyword se related jo content ho wo usko dikhe tabhi to wo article ko read karega

i hope aapne ye samjh liya hoga ki seo kyaa hai to chaliye ab seo ke type ke bare me jaan lete hain ki ye kitne type ka hota hai

Types of SEO

type of seo

Seo ke 3 types hote hain

  • On page seo
  • Off page seo
  • technical seo

aap kitna bhi accha article likh lo agar wo logo tak pahunche hi na to kya fayda aapki sari mehnat bekar hai to apni website ya web page ko people tak pahunchane ke liye seo karna bahut jaruri hai

aisa nahi hai ki bas article likh diya kaam khatam nahi friend ab to hoga kaam start

On page seo

Jaisa ki aapko name se hi samajh araha hoga ki on page yani page per jo seo ham seo rule ko follow karte huye ham apne website ya web page per karte hain use on page seo kaha jata hai

Off page seo

off page seo me hame apni website per nahi balki website se baher kaam karna pdta hai jo seo ham apni website ko first page per lane ke liye aur organic traffic ke liye website se baher yani dusri website per jaker karte hain use off page seo kaha jata hai

Technical seo

technical seo me ham apni website ki difficulties ya problems ko optimize karne ke liye jo seo karte hai use technical seo kahate hain

technical SEO bahut hi important role play karta hai kyonki apni website ko rank to ham baad me karayenge pahle website ki technical jo problem hai use thik karna jaruri hai

to friend i hope aapko samajh agya hoga ki seo kyaa hai aur kitne tpye ka hota hai ise aap apne friend ke sath jarur share karen comment karna na bhule

also red this

freelancing kyaa hai how to earn by freelancing

Digital marketing kaise karen

How to earn money on fiverr without skill?

hd png image download karne ke liye takepng visit karen

Our service

  • web design
  • logo design
  • video editing
  • social media ads
  • you tube thambnail
  • etc

Best Mic for recording: https://amzn.to/3haVcW5

Best laptop for graphic design: https://amzn.to/3diDC1h

Leave a Comment

Scroll to Top