Kya aap unicode se inpage me convert karna chahte hain, to iske liye aap ek website ka istemal karke bahut hi asani se ye kaam kar sakte hain.
Aap apne unicode urdu ya Arabic text ko copy kar lijiye aur unicode to inpage website ko open kar ke yaha paste kar dijiye.
Website open karne ke baad apko kuch aisa dashboard dikhega thoda sa niche scrool karne par.
To upr jaisa ki apko image me dikh rha hai jaha maine nishan lagaya hai aur likh bhi diya hai ki yha paste karna hai,
Apko usi box pr click karke apne unicode urdu text ko paste kar dena hai.
Aur thoda sa niche scroll karne par apko kuch aisa dikhega
Aap dekh sakte hain isme likha hai enter image code, aur uske bagal me ek box bana hua hai, aur uske bagal me 4 adad likhi huyi hai.
To isi ko apko box me likh dena hai, uske bad niche jo convert likha hai uspr click kar dena hai.
Convert par click karne ke baad apko kahi text nahi dikhega copy karne ke liye jise aap inpage me lekr ja sake.
apko kuch aisa dikhega.
To aap download file par click kar dijiyega, ek notepad ki file open ho jayegi.
Jo file download hogi uspar double click kriyega to notepad me open ho jayega.
Lekin ye dekhne me apko smjh me nhi ayega , to apko ise samjhne ki koi jarurt nahi hai aap isko copy kr lijyega
ctrl+A se all select karke ctrl+c se copy kar lijiyega.
Fir apne inpage me lejakar paste kar dijiyega .
Apka unicode to inpage file ready ab aap inpage me isme kuch bhi edit kar sakte hain, font wagairah asani se change kar sakte hain.
Isko aur achche se samajhne ke liye main niche ek video de raha hu aap ise dekh lena aur achche se samajh me aa jayega.
Lekin haa ye video me starting me ye bataya gaya hai ki image to urdu text kaise likhe uske bad ye bataya gya hai ki unicode to inpage me kaise convert kare, to aap video ya to pura dekh lena ya chaho to shuru ka part skip kar sakte ho.
Aap video ko 3:05 minute se dekh lena wha se apko pura ka pura unicode to inpage ke bare me hi bataya gaya hai.
Aur agar aap direct wahi se video dekhna chahte ho to is link par click kar ke dekh sakte ho: https://www.youtube.com/clip/UgkxJCs2tqYE_U2EVckSiuFm-rpxI4qEE1tw
मैं एक ग्राफिक डिजाइनर और डिजिटल मार्केटिंग एक्सपर्ट हूं, जिसके पास 8 साल का डिजाइनिंग और 4 साल का डिजिटल मार्केटिंग का तजुर्बा है। अपने इस ब्लॉग पर मैं डिजाइन और ऑनलाइन कमाई के आसान और असरदार तरीके बताता हूं। साथ ही, यूट्यूब पर प्रिंटिंग और डिजाइनिंग सिखाकर लोगों की मदद करता हूं। मेरी कोशिश है कि हर कोई अपनी क्रिएटिविटी को पहचानकर उसे कमाई का जरिया बना सके।