Raj Bold Font

Bold font heading ke liye istemal kiya jata hai, to jab ham koi banner flex board ya poster ityadi banate hain, aur raj font ka istemal karte hain to hame bold font lagane ke liye dhundhna padta hai ki raj ka kaun sa font bold hai, to chaliye aaj ki is post me ham raj bold font ke bare me baat kar lete hain.

raj bold font for heading

Raj bold font

Jab aap raj font ko download karte hain aur apne pc ya laptop me install karte hain to raj ke bahut sare font aa jate hain apke pas takriban 300 se kuch jyada hi, ab mushkil ye hota hai, ki inme se kaun sa font use kare kaha par kaun sa font lagaye jo achcha lage, khas taur se bold font kaun kaun sa hai.

To yaha ham apko raj bold font ke puri list de de rahe hain jinko aap heading me istemal kar sakte hain.

  • Raj-1
  • Raj-2
  • Raj-3
  • Raj-4
  • Raj-5
  • Raj-8
  • Raj-10
  • Raj-11
  • Raj-22
  • Raj-47
  • Raj-49
  • Raj-53
  • Raj-63
  • Raj-89
  • Raj-100
  • Raj-102
  • Raj-108
  • Raj-109
  • Raj-110

upar ki list me apko raj ke jitne bhi bold font hain unka name aur sath hi sath wo kaise dikhenge ye bhi pata chal gaya hoga, Lekin raj-1 aur raj-2 bilkul same dikh raha hai to in dono me kya farak hai, jab dono same hai to to fir ek hi style ko 2 bar wo bhi alag-alag name se dene ki kya jarurat thi.

Diffrent between Raj-1 and Raj-2

To jaisa ki apne dhyan diya hoga raj-1 aur raj-2 dono font dekhne me same hi lag raha hai, jabki same nahi hai dono me halda sa farak hai ap uske niche wale hissa ko dekhiye raj-1 me bilkul plane hai, jabki raj-2 me corner thoda thoda bahar nikla hai, to aap apni design ke hisab se alag-alag jagah in dono ka istemal kar sakte hain. mai apko ek image dikhata hu jisme apko clear samjh me aa jayega.

Ye to ho gayi baat bold font ke ab iske baad thin font ki bhi baat kar le, waise to aap koi bhi thin font istemal kar sakte hain ye total apke upar depend karta hai, lekin ham yaha 5-6 thin font ke nam bhi likh dete hain jo ki jyada istemal hota hai.

  • Raj-7
  • Raj-13
  • Raj-14
  • Raj-16
  • Raj-37

Ye font aap details yani ki descripiton likhne ke liye istemal kar sakte hain, mai jyadatar raj-7 hi istemal karta hu, jaisa ki maine youtube par ek video banaya tha jisme maine bataya tha ki aap sirf 2 font ka istemal karke puri weddign card design bana sakte hain niche mai video dal deta hu aap dekh lijiye.

Abhi tak hamne sirf aur sirf raj font ke bare me hi baat kiya hai, lekin agar aap ek graphic designer hain ya banna chahte hain, ya fir bannr poster ki design ka thoda bahut bhi kaam karte hain, to font selection ke bare me apko jarur pata hona chahiye jiske upar hamne ek detail video banayi hai aap isko dekhe is se abhut kuch sikhne ko milega.

Is video me apko font ke bare me puri jankari mil jayegi kai kaun sa font kaha istemal karna hai.

Leave a Comment Cancel Reply

Exit mobile version